Tag Archive | Urdu SMS Shayari

Four lines Urdu Poetry SMS

Kuch ishq tha kuch majboori thee, so main nay jeevan vaar dia
Main kaisa zinda aadmi tha , ek shakhs nay mujh ko maar dia
Main khuli huee ek sachaayee mujhe jaan-nay walay jantay hain
main nay kin logon sey nafrat kee aur kin logon ko pyaar dia..
====

Mujhy Chhor Day Meray HaaL Par,
Tera Kya Bharosa Aey Hum Safar. . .!

Teri Mukhtasar Si Nawazishain
Mera DarD Aur Barhaa Na Dain..!!

====

Ye wafa ka silaa hai to koi baat nahi,
Ye dard apno ne diya hai to koi baat nahi,

Yehi bahut hai ki vo dekh rahe hai kinare se,
Hum dub rahe hai to koi baat nahi…..

========

Tu Chala Gaya Mujhe chhor kar,
Maine phir bhi Tujhko Sadaayen dii,

Mere HumSafar tu ruka Nahi,
Ye Meri Sada ki Shikast hai…

Urdu Two Lines Poetry – 2 line for SMS

Beth jata hoon khaak per aksar,
Apni aukaar achi lagti hai..

——–

Aadat Mujhe Andhero’n Main Darne Ki Dal Kar,
Ek Shakhss Meri Zindagi Ko Raat Kar Gaya..

—————

“Faraz” Mohabbat Ke iLawa Paas Apnay Kuch Nahi
Isi Doulat Ko Ham Qismat Ke Maaray Baant Laitay Hain

————

Phir Mera Ghar Nahi Mila Hoga
Eid Is Saal Bhi Nahi Aayi…….!!

————

Tumhain bhulana hi awal to dastras mein nahin,
Jo ikhityaar bhi hota to kya bhulaa dete ?

————-
Ek Bas TU Hee Nahi Mujhse Khafa Ho Baitha
Main Ne Jo Sang Taraasha Vo Khudaa Ho Baitha

———-

Kar Gaya Na Ishq Barbaad,
Aur Geet Gao Muhabbat Ke..

محبت کرنے والوں کی زباں کچھ اور ہوتی ہے

محبت کرنے والوں کی زباں کچھ اور ہوتی ہے
دلوں کی گفتگو کو لفظ کب درکار ہوتے ہیں
چمک اٹھتی ہیں+آنکھیں، ہوتے ہیں+ابرو میں خم پیدا
سوالوں اور جوابوں کے یہی اظہار ہوتے ہیں

ہ ٹھیک ہے کہ بہت وحشتیں بھی ٹھیک نہیں

ہ ٹھیک ہے کہ بہت وحشتیں بھی ٹھیک نہیں
مگر ہماری ذرا عادتیں بھی ٹھیک نہیں

اگر ملو تو کھلے دل کے ساتھ ہم سے ملو
کہ رسمی رسمی سی یہ چاہتیں بھی ٹھیک نہیں

تعلقات میں گہرائیاں تو اچھی ہیں
کسی سے اتنی مگر قربتیں بھی ٹھیک نہیں

دل و دماغ سے گھائل ہیں تیرے ہجر نصیب
شکستہ در بھی ہیں ان کی چھتیں بھی ٹھیک نہیں

تم اعتبار پریشان بھی ان دنوں ہو بہت
دکھائی پڑتا ہے ،کچھ صحبتیں بھی ٹھیک نہیں

قلم اٹھا کے چلو حال دل ہی لکھ دالو
کہ رات دن کی بہت فرصتیں بھی ٹھیک نہیں

Tumhain jub kabhi milein fursatein,

tumhain jub kabhi milein fursatein,
mere dil sy bhoj uthar do,
main bohy dino sy udaas hoon
mujhy koi sham udhar do,

mujhy apne roop ki dhoop do k
chamak sakein mere khad_o_khal,
mujhy apne rung main rung do
mere saarey zang uthar do,

kisi aur ko mere haal sy
graz hai na koi wasta,
main bikhar gayya hoon smait lo,
main bighar gayya hoon sunwar do,

meri wehshaton ko barha diya
judaion k azab ny,
mere dil py hath rukho
meri dharkano ko qarar do,

tumhain subha kaisi lagi kaho?????
meri wehshaton k deyaar main,
jo bhali lagi to yahin rho,
issey chahton sy nikhar do,

wahan ghr main kon hai muntazir,
jo fikar ho dair sawair ki,
bri mukhtasir si raat hai,
issii chandni main guzar do,

koi baat krni hai chand sy,
kisi shakhsar ki oat main,
mujhy rastey main yahin kahin,
kisi kunj gul main uthar do……!

ھم ہیں عام سے لوگ

ھم ہیں عام سے لوگ

ھمارا عام سا لہجہ

ھمارا عام سا چہرہ

عام سی باتیں

عام سی چاہتیں

عام سے دن

عام سی راتیں

ھم میں تو کچھ بھی خاص نہیں

پھر

تم کیسے ھمیں یاد رکھ پاؤ گے

شاید اس طرح

کہ وہ شخص کتنا عام سا تھا

Raah aasaan ho ga_ii hogii by Saifuddin Saif

raah aasaan ho ga_ii hogii
jaan pahachaan ho ga_ii hogii

phir palaT kar nigaah nahii.n aa_ii
tujh pe qurabaa.N ho ga_ii hogii

terii zulfo.n ko chhe.Datii thii sabaa
Khud pareshaa.N ho ga_ii hogii

maut se tere dard_mando.n kii
mushkil aasaan ho ga_ii hogii

un se bhii chhiin loge yaad apanii
jin kaa imaan ho ga_ii hogii

dil kii taskiin puuchhate hai.n aap
haa.N merii jaan ho ga_ii hogii

marane vaalo pe ‘Saif’ hairat kyo.n
maut aasaan ho ga_ii hogii

Saifuddin Saif